CAUTION:: This story is a dark genre fantasy. It is less vulgar but more sensual. The content may offend you or can even deeply disturb you. So please leave now if you can’t handle anything unexpected.
DISCLAIMER:: This is a 100% work of imagination. All the characters are fictional.
Welcome readers… This is my first story at this portal. Thanks for paying attention to my work. My writing style is different than others. I give more attention to the storyline. And slowly prepare the build-up of the main series of events, which you crave for. So don’t worry you will get a nice feast. I promise… Now without any bakchodi, Let’s begin the story…
Ish kahani k 2 pramukh kirdar hain.
Pahla kirdar hai Sushil. Sushil Delhi mein ek successful businessman hai. Delhi k kai ilaakon mein uske garments and clothings k showrooms chalte hain. Society mein uski kaafi ijjat hai. Bhagwan ka diya sab kuch tha uske paas.
Dusra kirdar hai uska beta Aditya. Aditya abhi 24 saal ka hai. 6 ft lamba, gym mein banai hui body, dikhne mein ushe kafi aakarshak banate the. Desh k baki bachhon ki tarah usne bhi B.Tech kar ki. Halanki wo dimaag se kafi hoshiyar tha. Magar amir baap k paison k junoon mein usne padhai ko utni jyada importance nhi di. Doston k sath masti, ladki ghumana, aur thodi bahut padhai.. bas yahi uski routine thi.
College khatm karne k baad uska apne pita k karobar ko join karne ka uska koi iraada nhi tha. Wo pahle akele khudki life enjoy karna chahta tha. Isi soch k sath wo Mumbai nikal liya. Aur kyunki wo hoshiyaar tha to ushe ek IT-startup mein naukri bhi mil gyi. Magar ush company mein uska man nhi laga, kyunki usmein dhang ki ladkiyan nhi thi. College k time pe wo photography, short films, college fest volunteering, hosting jaise extra curricular activities kiya karta tha. Jiske wajah se uski communication bahut achhi thi aur ushe video editing, photo editing jaise kaam bhi aate the. To fir usne apni inhi skills ko thoda aur refine kiya aur kisi magazine, ya designer related companies mein job lene ki try karne laga. Agle kuch mahino ki mehnat rang lai aur usko apne fresher hone ka bhi fayda mila. Ek company jo ki round neck graphic T-shirts banati thi, wahan pe ushe as an intern job offer mil gyi.
Aditya ab bahut khush tha. Ek to formal uniform k bakwas se mukti mil gyi thi ushe, aur dusra wahan par maal hi maal bhari padi thin. Halanki paise kum mil rahe the ush job k, but paison ki usko koi kami nhi thi apne baap ki badaulat.
Sushil aur Aditya ki life sahi jaa rahi thi, magar ek din wo hua jisse ki unki khush-haal duniya ko grahan lag gya!
Sheetal. Ek aadarsh patni, aur ek aadarsh maa. Sarvgun sampann aurat. Poore ghar ko sambhalti thi. Sukh ho ya dukh har haal mein apne pati ka saath deti thi. Sushil Sheetal se beintehaan mohabbat karta tha. Shaadi k 26 saal baad bhi unka romance barkarar tha. Un dono ki love marriage hui thi. College wala pyaar…
Ish shaadi se unko 2 bachhe hue: Aditya bada beta, aur Aditi usse chhoti beti. Aditya Sheetal k kaleje ka tukda tha, aur Aditi Sushil k pari.